Jinnat or Ablees Historical View
Tamam Islami firqay mutfiq hain ka Harazt Adem A.S ki paidayesh takreban Sawaso Bers pehly Allah Talla nay Jinnat ko Zameen per Abad kia, or jab Jinnat ki nasel Zameen per bohat ho gaee, or jaga na rahi to kuch ko Hawa main Jaga Atta fermayee or kuch pehlay Asman per rehly lagay. Or in main Ablees bhi tha.
Waheb bin Manba ki Taveel rewayet ka aik Hisa ye ha:
""Jinnat ki Afzayseh nasel ka ye alam tha k aik hamel say aik larka or aik larki paida hotay, Or jab in ki tadad 70 Hazar gai or bia shadi k silsila jari raha to in k olad ka koi hisab-o-kitab na raha. Ablees nay bhi Bano-Aljan ki aik larki say shadi ker li, or is k bad bohat say oalad paida hoee. Or Jan ki nasel k rahnay k liay duniya main jaga na rahi, or Jan or is ki olad ko Pehlay Asman per rehny ko jaga di gaee. Or in dono ko apni Ibadet or ataet ka hokum dia,
Zameen per Danga Fasad Ka Aghaz:
Arsa-Daraz tak Asman per rahtay rehaty Jin ghabra gay or Allah talla say zameen per rehly ki darkhwast ki, or Allah talla nay in ko Ijazet do, or ye ahel lia, ko wo zameen per ja ker Ibadet say Ghafel nieh hoon ga, per Shatan apni herkatoon say kab baz anay walay thay pher in sab nay zamen itna tofaan machaya k Zameen nay pana mang lee, is per Asman waloon nay Zameen per anay ki Darkhwast ki.
Jinnat main Nabi:
Allah talla nay in ki Islah k liay in hi main say yani Jinnat main say Nabi bhajay, Jin ko in zalamoon nay Shaheed ker dia, Kab Ahbaer fermatay hain k, jinnat main sab say pehly jo Nabi aya Un ka namt Amer bin Amair bin Al-Jaan tha. In k bad Saeq bin Maeq bin Marid bin Al-jaan ayay or in ko bahi shaheed ker dia gia.
No comments:
Post a Comment